tere na aane se dil bhi nahin dukha shayad
wagarna kya main sar-e-sham sone wala tha
Jamal Ehsani
mujh ko malum hai meri KHatir
kahin ek jal buna rakkha hai
Jamal Ehsani
qarar dil ko sada jis ke nam se aaya
wo aaya bhi to kisi aur kaam se aaya
Jamal Ehsani
qarar ji ko mare jis ke nam se aaya
wo aaya bhi to kisi aur kaam se aaya
Jamal Ehsani
subh aata hun yahan aur sham ho jaane ke baad
lauT jata hun main ghar nakaam ho jaane ke baad
Jamal Ehsani
sunte hain us ne DhunD liya aur koi ghar
ab tak jo aankh thi tere dar par lagi hui
Jamal Ehsani
tamam raat nahaya tha shahr barish mein
wo rang utar hi gae jo utarne wale the
Jamal Ehsani
yaad rakhna hi mohabbat mein nahin hai sab kuchh
bhul jaana bhi baDi baat hua karti hai
Jamal Ehsani
ye kaun aane jaane laga us gali mein ab
ye kaun meri dastan dohrane wala hai
Jamal Ehsani

