اردو हिंदी
Dil ki taraf dimagh se wo aane wala hai | Shaahi Shayari
dil ki taraf dimagh se wo aane wala hai

Ghazal

Dil ki taraf dimagh se wo aane wala hai

Jamal Ehsani

;

dil ki taraf dimagh se wo aane wala hai
ye bhi makan hath se ab jaane wala hai

ek lahar us ki aankh mein hai hausla-shikan
ek rang us ke chehre pe bahkane wala hai

ye kaun aane jaane laga us gali mein ab
ye kaun meri dastan dohrane wala hai

duniya pasand aane lagi dil ko ab bahut
samjho ki ab ye bagh bhi murjhane wala hai

jo saat-e-hasin thi wo roke nahin ruki
ye lamha bhi 'jamal' guzar jaane wala hai