اردو हिंदी
Jab kabhi KHwab ki ummid bandha karti hai | Shaahi Shayari
jab kabhi KHwab ki ummid bandha karti hai

Ghazal

Jab kabhi KHwab ki ummid bandha karti hai

Jamal Ehsani

;

jab kabhi KHwab ki ummid bandha karti hai
nind aankhon mein pareshan phira karti hai

yaad rakhna hi mohabbat mein nahin hai sab kuchh
bhul jaana bhi baDi baat hua karti hai

dekh be-chaargi-e-ku-e-mohabbat koi dam
sae ke waste diwar dua karti hai

surat-e-dil baDe shahron mein rah-e-yak-tarfa
jaane walon ko bahut yaad kiya karti hai

do ujalon ko milati hui ek rah-guzar
be-charagi ke baDe ranj saha karti hai