aad farhad ke phir koh-kani main ne ki
baad majnun ke kiya main ne bayaban aabaad
Haidar Ali Aatish
amrad-parast hai to gulistan ki sair kar
har naunihaal rashk hai yan KHurd-sal ka
Haidar Ali Aatish
ut-KHana toD Daliye masjid ko Dhaiye
dil ko na toDiye ye KHuda ka maqam hai
you may excavate the temple, the mosque you may explode
do not break the heart of man, for this is God's abode
Haidar Ali Aatish
aisi unchi bhi to diwar nahin ghar ki tere
raat andheri koi aawegi na barsat mein kya
Haidar Ali Aatish
ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai
usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai
Haidar Ali Aatish
ai falak kuchh to asar husn-e-amal mein hota
shisha ek roz to waiz ke baghal mein hota
Haidar Ali Aatish
aatish-e-mast jo mil jae to puchhun us se
tu ne kaifiyyat uThai hai KHarabaat mein kya
Haidar Ali Aatish
aasman aur zamin ka hai tafawut har-chand
ai sanam dur hi se chand sa mukhDa dikhla
Haidar Ali Aatish
aasar-e-ishq aankhon se hone lage ayan
bedari ki taraqqi hui KHwab kam hua
Haidar Ali Aatish