'hafiz' apni boli mohabbat ki boli
na urdu na hindi na hindostani
Hafeez Jalandhari
'hafiz' ahl-e-zaban kab mante the
baDe zoron se manwaya gaya hun
Hafeez Jalandhari
hath rakh rakh ke wo sine pe kisi ka kahna
dil se dard uThta hai pahle ki jigar se pahle
Hafeez Jalandhari
han main to liye phirta hun ek sajda-e-betab
un se bhi to puchho wo KHuda hain ki nahin hain
Hafeez Jalandhari
han kaif-e-be-KHudi ki wo saat bhi yaad hai
mahsus kar raha tha KHuda ho gaya hun main
Hafeez Jalandhari
hae koi dawa karo hae koi dua karo
hae jigar mein dard hai hae jigar ko kya karun
Hafeez Jalandhari
doston ko bhi mile dard ki daulat ya rab
mera apna hi bhala ho mujhe manzur nahin
may my friends too receive this wealth of pain
I cannot envisage my solitary gain
Hafeez Jalandhari