jis ne is daur ke insan kiye hain paida
wahi mera bhi KHuda ho mujhe manzur nahin
Hafeez Jalandhari
jaise virane se Takra ke palaTti hai sada
dil ke har goshe se aai teri aawaz mujhe
Hafeez Jalandhari
irade bandhta hun sochta hun toD deta hun
kahin aisa na ho jae kahin aisa na ho jae
Hafeez Jalandhari
in talKH aansuon ko na yun munh bana ke pi
ye mai hai KHud-kashid ise muskura ke pi
Hafeez Jalandhari
ilahi ek gham-e-rozgar kya kam tha
ki ishq bhej diya jaan-e-mubtala ke liye
Hafeez Jalandhari
hamesha ke liye KHamosh ho kar
nai tarz-e-fughan wale ne mara
Hafeez Jalandhari
hum se ye bar-e-lutf uThaya na jaega
ehsan ye kijiye ki ye ehsan na kijiye
Hafeez Jalandhari
aa hi gaya wo mujh ko lahad mein utarne
ghaflat zara na ki mere ghaflat-shiar ne
Hafeez Jalandhari
hai muddaa-e-ishq hi duniya-e-muddaa
ye muddaa na ho to koi muddaa na ho
Hafeez Jalandhari