dekha jo kha ke tir kamin-gah ki taraf
apne hi doston se mulaqat ho gai
Hafeez Jalandhari
charagh-e-KHana-e-darwesh hon main
idhar jalta adhar bujhta raha hun
Hafeez Jalandhari
ut-kade se chale ho kabe ko
kya milega tumhein KHuda ke siwa
Hafeez Jalandhari
hulai nahin ja sakengi ye baaten
tumhein yaad aaenge hum yaad rakhna
Hafeez Jalandhari
e-talluq zindagi achchhi nahin
zindagi kya maut bhi achchhi nahin
Hafeez Jalandhari
dil sabhi kuchh zaban par laya
ek faqat arz-e-muddaa ke siwa
Hafeez Jalandhari
ai meri jaan apne ji ke siwa
kaun tera hai kaun mera hai
Hafeez Jalandhari
ai 'hafiz' aah aah par aaKHir
kya kahen dost wah wa ke siwa
Hafeez Jalandhari
ahl-e-zaban to hain bahut koi nahin hai ahl-e-dil
kaun teri tarah 'hafiz' dard ke git ga sake
Hafeez Jalandhari