اردو हिंदी
Un ko jigar ki justuju unki nazar ko kya karun | Shaahi Shayari
un ko jigar ki justuju unki nazar ko kya karun

Ghazal

Un ko jigar ki justuju unki nazar ko kya karun

Hafeez Jalandhari

;

un ko jigar ki justuju un ki nazar ko kya karun
mujh ko nazar ki aarzu apne jigar ko kya karun

raat hi raat mein tamam tai hue umr ke maqam
ho gai zindagi ki sham ab main sahar ko kya karun

wahshat-e-dil fuzun to hai haal mera zubun to hai
ishq nahin junun to hai us ke asar ko kya karun

farsh se mutmain nahin past hai na-pasand hai
arsh bahut buland hai zauq-e-nazar ko kya karun

hae koi dawa karo hae koi dua karo
hae jigar mein dard hai hae jigar ko kya karun

ahl-e-nazar koi nahin is liye KHud-pasand hun
aap hi dekhta hun main apne hunar ko kya karun

tark-e-talluqat par gir gai barq-e-iltifat
rahguzar mein mil gae rahguzar ko kya karun