aata tha jis ko dekh ke taswir ka KHayal
ab to wo kil bhi meri diwar mein nahin
Ghulam Murtaza Rahi
ek ek lafz se mani ki kiran phuTti hai
raushni mein paDha jata hai sahifa mera
Ghulam Murtaza Rahi
garmiyon bhar mere kamre mein paDa rahta hai
dekh kar ruKH mujhe suraj ka ye ghar lena tha
Ghulam Murtaza Rahi
ham-sari un ki jo karna chahe
us ko suli par chaDha dete hain
Ghulam Murtaza Rahi
har ek sans mujhe khinchti hai us ki taraf
ye kaun mere liye be-qarar rahta hai
Ghulam Murtaza Rahi
hisar-e-jism mera toD-phoD Dalega
zarur koi mujhe qaid se chhuDa lega
Ghulam Murtaza Rahi
husn-e-amal mein barkaten hoti hain be-shumar
patthar bhi toDiye to saliqe se toDiye
Ghulam Murtaza Rahi
jaise koi kaT raha hai jal mera
jaise uDne wala koi parinda hai
Ghulam Murtaza Rahi
jhankta bhi nahin suraj mere ghar ke andar
band bhi koi daricha nahin rahne deta
Ghulam Murtaza Rahi