us ne jab darwaza mujh par band kiya
mujh par us ki mahfil ke aadab khule
Ghulam Murtaza Rahi
yaron ne meri rah mein diwar khinch kar
mashhur kar diya ki mujhe saya chahiye
Ghulam Murtaza Rahi
ye daur hai jo tumhaara rahega ye bhi nahin
koi zamana tha mera guzar gaya wo bhi
Ghulam Murtaza Rahi
ye log kis ki taraf dekhte hain hasrat se
wo kaun hai jo samundar ke par rahta hai
Ghulam Murtaza Rahi
yunhi buniyaad ka darja nahin milta kisi ko
khaDi ki jaegi mujh par abhi diwar koi
Ghulam Murtaza Rahi
zaban apni badalne pe koi raazi nahin
wahi jawab hai us ka wahi sawal mera
Ghulam Murtaza Rahi
ek din dariya makanon mein ghusa
aur diwaren uTha kar le gaya
Ghulam Murtaza Rahi
ab aur der na kar hashr barpa karne mein
meri nazar tere didar ko tarasti hai
Ghulam Murtaza Rahi
ab jo aazad hue hain to KHayal aaya hai
ki hamein qaid bhali thi to saza kaisi thi
Ghulam Murtaza Rahi