ab mere gird Thaharti nahin diwar koi
bandishen haar gain be-sar-o-samani se
Ghulam Murtaza Rahi
ai mere payab dariya tujh ko le kar kya karun
naKHuda patwar kashti baadban rakhte hue
Ghulam Murtaza Rahi
apni qismat ka bulandi pe sitara dekhun
zulmat-e-shab mein yahi ek nazara dekhun
Ghulam Murtaza Rahi
apni taswir ke ek ruKH ko nihan rakhta hai
ye charagh apna dhuan jaane kahan rakhta hai
Ghulam Murtaza Rahi
chahta hai wo ki dariya sukh jae
ret ka bewpar karna chahta hai
Ghulam Murtaza Rahi
chale the jis ki taraf wo nishan KHatm hua
safar adhura raha aasman KHatm hua
Ghulam Murtaza Rahi
dekhne sunne ka maza jab hai
kuchh haqiqat ho kuchh fasana ho
Ghulam Murtaza Rahi
dil ne tamanna ki thi jis ki barson tak
aise zaKHm ko achchha kar ke baiTh gae
Ghulam Murtaza Rahi
dusra koi tamasha na tha zalim ke pas
wahi talwar thi us ki wahi sar tha mera
Ghulam Murtaza Rahi