اردو हिंदी
Tur tha kaba tha dil tha jalwa-zar-e-yar tha | Shaahi Shayari
tur tha kaba tha dil tha jalwa-zar-e-yar tha

Ghazal

Tur tha kaba tha dil tha jalwa-zar-e-yar tha

Firaq Gorakhpuri

;

tur tha kaba tha dil tha jalwa-zar-e-yar tha
ishq sab kuchh tha magar phir aalam-e-asrar tha

nashsha-e-sad-jam kaif-e-intizar-e-yar tha
hijr mein Thahra hua dil saghar-e-sarshaar tha

alwidaa ai bazm-e-anjum hijr ki shab al-firaq
ta-ba-daur-e-zindagani intizar-e-yar tha

ek ada se be-niyaz-e-qurb-o-duri kar diya
mawra-e-wasl-o-hijran husn ka iqrar tha

jauhar-e-aina-e-alam bane aansu mere
yun to sach ye hai ki rona ishq mein bekar tha

shoKHi-e-raftar wajh-e-hasti-e-barbaad thi
zindagi kya thi ghubar-e-rahguzar-e-yar tha

ulfat-e-derina ka jab zikr ishaaron mein kiya
muskura kar mujh se puchha tum ko kis se pyar tha

dil-dukhe roe hain shayad is jagah ai ku-e-dost
KHak ka itna chamak jaana zara dushwar tha

zarra zarra aaina tha KHud-numai ka 'firaq'
sar-ba-sar sahra-e-alam jalwa-zar-e-yar tha