phulon mein ghazal rakhna ye raat ki rani hai
is mein teri zulfon ki be-rabt kahani hai
Bashir Badr
pyar hi pyar hai sab log barabar hain yahan
mai-kade mein koi chhoTa na baDa jam uTha
Bashir Badr
aat ka intizar kaun kare
aaj kal din mein kya nahin hota
why does one have to wait for night
what doesn't transpire in broad daylight
Bashir Badr
aat teri yaadon ne dil ko is tarah chheDa
jaise koi chuTki le narm narm galon mein
Bashir Badr
wo jin ke zikr se ragon mein dauDti thin bijliyan
unhin ka hath hum ne chhu ke dekha kitna sard hai
Bashir Badr
wo intizar ki chaukhaT pe so gaya hoga
kisi se waqt to puchhen ki kya baja hoga
Bashir Badr
wo itr-dan sa lahja mere buzurgon ka
rachi-basi hui urdu zaban ki KHushbu
Bashir Badr
wo chehra kitabi raha samne
baDi KHubsurat paDhai hui
Bashir Badr
wo matha ka matla ho ki honThon ke do misre
bachpan se ghazal hi meri mahbuba rahi hai
Bashir Badr