main jab so jaun in aankhon pe apne honT rakh dena
yaqin aa jaega palkon tale bhi dil dhaDakta hai
Bashir Badr
main jis ki aankh ka aansu tha us ne qadr na ki
bikhar gaya hun to ab ret se uThae mujhe
Bashir Badr
main ne din raat KHuda se ye dua mangi thi
koi aahaT na ho dar par mere jab tu aae
Bashir Badr
main tamam din ka thaka hua tu tamam shab ka jaga hua
zara Thahar ja isi moD par tere sath sham guzar lun
Bashir Badr
main tamam tare uTha uTha ke gharib logon mein banT dun
wo jo ek raat ko aasman ka nizam de mere hath mein
Bashir Badr
main yun bhi ehtiyatan us gali se kam guzarta hun
koi masum kyun mere liye badnam ho jae
Bashir Badr
mandir gae masjid gae piron faqiron se mile
ek us ko pane ke liye kya kya kiya kya kya hua
went to temples,mosques, and saints,mendicants I saught
to find the one what all I did what on myself have brought
Bashir Badr
mera shaitan mar gaya shayad
mere sine pe so raha hai koi
Bashir Badr
meri aankh ke tare ab na dekh paoge
raat ke musafir the kho gae ujalon mein
Bashir Badr