اردو हिंदी
Meri aankhon mein tere pyar ka aansu aae | Shaahi Shayari
meri aankhon mein tere pyar ka aansu aae

Ghazal

Meri aankhon mein tere pyar ka aansu aae

Bashir Badr

;

meri aankhon mein tere pyar ka aansu aae
koi KHushbu main lagaun teri KHushbu aae

waqt-e-ruKHsat kahin tare kahin jugnu aae
haar pahnane mujhe phul se bazu aae

main ne din raat KHuda se ye dua mangi thi
koi aahaT na ho dar par mere jab tu aae

in dinon aap ka aalam bhi ajab aalam hai
tir khaya hua jaise koi aahu aae

us ki baaten ki gul-o-lala pe shabnam barse
sab ko apnane ka us shoKH ko jadu aae

us ne chhu kar mujhe patthar se phir insan kiya
muddaton baad meri aankhon mein aansu aae