hamesha tinke hi chunte guzar gai apni
magar chaman mein kahin aashiyan bana na sake
Aziz Lakhnavi
haqarat se na dekho sakinan-e-KHak ki basti
ki ek duniya hai har zarra in ajza-e-pareshan ka
Aziz Lakhnavi
hijr ki raat kaTne wale
kya karega agar sahar na hui
Aziz Lakhnavi
husn-e-arasta qudrat ka atiyya hai magar
kya mera ishq-e-jigar-soz KHuda-dad nahin
Aziz Lakhnavi
itna bhi bar-e-KHatir-e-gulshan na ho koi
TuTi wo shaKH jis pe mera aashiyana tha
Aziz Lakhnavi
jab se zulfon ka paDa hai is mein aks
dil mera TuTa hua aaina hai
Aziz Lakhnavi
jhuTe wadon par thi apni zindagi
ab to wo bhi aasra jata raha
Aziz Lakhnavi
kabhi jannat kabhi dozaKH kabhi kaba kabhi dair
ajab andaz se tamir hua KHana-e-dil
Aziz Lakhnavi
KHud chale aao ya bula bhejo
raat akele basar nahin hoti
Aziz Lakhnavi