taqlid ab main hazrat-e-waiz ki kyun karun
saqi ne de diya mujhe fatwa jawaz ka
Aziz Lakhnavi
teri koshish hum ai dil sai-e-la-hasil samajhte hain
sar-e-manzil tujhe begana-e-manzil samajhte hain
Aziz Lakhnavi
tum ne chheDa to kuchh khule hum bhi
baat par baat yaad aati hai
Aziz Lakhnavi
tumhein hanste hue dekha hai jab se
mujhe rone ki aadat ho gai hai
Aziz Lakhnavi
udasi ab kisi ka rang jamne hi nahin deti
kahan tak phul barsae koi gor-e-ghariban pa
Aziz Lakhnavi
wahi hikayat-e-dil thi wahi shikayat-e-dil
thi ek baat jahan se bhi ibtida karte
Aziz Lakhnavi
ye mashwara baham uTThe hain chaara-ju karte
ki ab mariz ko achchha tha qibla-ru karte
Aziz Lakhnavi
ye teri aarzu mein baDhi wusat-e-nazar
duniya hai sab meri nigah-e-intizar mein
Aziz Lakhnavi
zaban dil ki haqiqat ko kya bayan karti
kisi ka haal kisi se kaha nahin jata
Aziz Lakhnavi