dil ki aaludgi-e-zaKHm baDhi jati hai
sans leta hun to ab KHun ki bu aati hai
Aziz Lakhnavi
dil nahin jab to KHak hai duniya
asal jo chiz thi wahi na rahi
Aziz Lakhnavi
dil samajhta tha ki KHalwat mein wo tanha honge
main ne parda jo uThaya to qayamat nikli
Aziz Lakhnavi
duaen mangi hain saqi ne khol kar zulfen
basan-e-dast-e-karam abr-e-dajla-bar baras
Aziz Lakhnavi
duniya ka KHun daur-e-mohabbat mein hai safed
aawaz aa rahi hai lab-e-ju-e-shir se
Aziz Lakhnavi
aaina chhoD ke dekha kiye surat meri
dil-e-muztar ne mere un ko sanwarne na diya
Aziz Lakhnavi
hadsat-e-dahr mein wabasta-e-arbab-e-dard
li jahan karwaT kisi ne inqalab aa hi gaya
Aziz Lakhnavi
hum to dil hi par samajhte the buton ka iKHtiyar
nasb-e-kaba mein bhi ab tak ek patthar rah gaya
Aziz Lakhnavi
hamesha se mizaj-e-husn mein diqqat-pasandi hai
meri dushwariyan aasan hona saKHt mushkil hai
Aziz Lakhnavi