dil nahin jab to KHak hai duniya
asal jo chiz thi wahi na rahi
Aziz Lakhnavi
aaina chhoD ke dekha kiye surat meri
dil-e-muztar ne mere un ko sanwarne na diya
Aziz Lakhnavi
dil ke ajza mein nahin milta koi juzw-e-nishat
is sahife se kisi ne ek waraq kam kar diya
Aziz Lakhnavi
e-KHudi kucha-e-jaanan mein liye jati hai
dekhiye kaun mujhe meri KHabar deta hai
Aziz Lakhnavi
atao aise marizon ka hai ilaj koi
ki jin se haal bhi apna bayan nahin hota
Aziz Lakhnavi
ani hain shahr-ashob-e-tamanna
KHumar-aluda aankhen raat-bhar ki
Aziz Lakhnavi
apne markaz ki taraf mail-e-parwaz tha husn
bhulta hi nahin aalam teri angDai ka
Aziz Lakhnavi
ai soz-e-ishq-e-pinhan ab qissa muKHtasar hai
iksir ho chala hun ek aanch ki kasar hai
Aziz Lakhnavi
ahd mein tere zulm kya na hua
KHair guzri ki tu KHuda na hua
Aziz Lakhnavi