ghar se kis tarah main niklun ki ye maddham sa charagh
main nahin hunga to tanhai mein bujh jaega
Azhar Inayati
ham-asron mein ye chheD chali aai hai 'azhar'
yan 'zauq' ne 'ghaalib' ko bhi ghaalib nahin samjha
Azhar Inayati
har ek raat ko mahtab dekhne ke liye
main jagta hun tera KHwab dekhne ke liye
Azhar Inayati
aaj bhi sham-e-gham! udas na ho
mang kar main charagh lata hun
Azhar Inayati
is kar-e-agahi ko junun kah rahe hain log
mahfuz kar rahe hain faza mein sadaen hum
Azhar Inayati
is raste mein jab koi saya na paega
ye aaKHiri daraKHt bahut yaad aaega
Azhar Inayati
jahan ziden kiya karta tha bachpana mera
kahan se laun khilaunon ki un dukanon ko
Azhar Inayati
jawan ho gai ek nasl sunte sunte ghazal
hum aur ho gae buDhe ghazal sunate hue
Azhar Inayati
jawanon mein tasadum kaise rukta
qabile mein koi buDha nahin tha
Azhar Inayati