اردو हिंदी
Ghar ka rasta jo bhul jata hun | Shaahi Shayari
ghar ka rasta jo bhul jata hun

Ghazal

Ghar ka rasta jo bhul jata hun

Azhar Inayati

;

ghar ka rasta jo bhul jata hun
kya bataun kahan se aata hun

zehn mein KHwab ke mahal ki tarah
KHud hi banta hun TuT jata hun

aaj bhi sham-e-gham! udas na ho
mang kar main charagh lata hun

main to ai shahr ke hasin rasto
ghar se hi qatl ho ke aata hun

roz aati hai ek shaKHs ki yaad
roz ek phul toD lata hun

hae gahraiyan un aankhon ki
baat karta hun Dub jata hun