main ne kyun tark-e-talluq ki jasarat ki hai
tum agar ghaur karoge to pashiman hoge
Ameer Qazalbash
main kya jaanun gharon ka haal kya hai
main sari zindagi bahar raha hun
Ameer Qazalbash
log jis haal mein marne ki dua karte hain
main ne us haal mein jine ki qasam khai hai
Ameer Qazalbash
kya guzarti hai mere baad us par
aaj main us se bichhaD kar dekhun
Ameer Qazalbash
kuchh to apni KHabar mile mujh ko
mere bare mein kuchh kaha karna
Ameer Qazalbash
KHali hath nikal ghar se
zad-e-safar hushyari rakh
Ameer Qazalbash
jashn-e-bahaar-e-nau hai nasheman ki KHair ho
uTTha hai kyun chaman mein dhuan raushni ke sath
Ameer Qazalbash
itna bedariyon se kaam na lo
dosto KHwab bhi zaruri hai
Ameer Qazalbash
ek parinda abhi uDan mein hai
tir har shaKHs ki kaman mein hai
Ameer Qazalbash