aatil se dabne wale ai aasman nahin hum
sau bar kar chuka hai tu imtihan hamara
Allama Iqbal
e-KHatar kud paDa aatish-e-namrud mein ishq
aql hai mahw-e-tamasha-e-lab-e-baam abhi
Allama Iqbal
hari bazm mein raaz ki baat kah di
baDa be-adab hun saza chahta hun
Allama Iqbal
uton se tujh ko umiden KHuda se naumidi
mujhe bata to sahi aur kafiri kya hai
Allama Iqbal
DhunDta phirta hun main 'iqbaal' apne aap ko
aap hi goya musafir aap hi manzil hun main
Allama Iqbal
dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai
par nahin taqat-e-parwaz magar rakhti hai
Allama Iqbal
dil soz se KHali hai nigah pak nahin hai
phir is mein ajab kya ki tu bebak nahin hai
Allama Iqbal
duniya ki mahfilon se ukta gaya hun ya rab
kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho
Allama Iqbal
ek sarmasti o hairat hai sarapa tarik
ek sarmasti o hairat hai tamam aagahi
Allama Iqbal