Dar KHuda sin KHub nain ye waqt-e-qatl-e-am kun
subh kun khola na kar is zulf-e-KHun-asham kun
Abroo Shah Mubarak
aaghosh sin sajan ke haman kun kiya kanar
marunga is raqib kun chhaDiyon se god god
Abroo Shah Mubarak
yare tere nayan kun aahu kahe jo koi
wo aadmi nahin hai haiwan hai bechaara
Abroo Shah Mubarak
ose mein honT ulTa aashiq ka kaT khaya
tera dahan maze sin pur hai pe hai kaTora
Abroo Shah Mubarak
osan laban sin dene kaha kah ke phir gaya
pyala bhara sharab ka afsos gir gaya
Abroo Shah Mubarak
ai sard-mehr tujh sin KHuban jahan ke kanpe
KHurshid thartharaya aur mah dekh haala
Abroo Shah Mubarak
agar dekhe tumhaari zulf le Das
ulaT jawe kaleja nagani ka
Abroo Shah Mubarak
afsos hai ki baKHt hamara ulaT gaya
aata to tha pe dekh ke hum kun palaT gaya
Abroo Shah Mubarak
ab din hua zamana-sazi
aafaq tamam dahriya hai
Abroo Shah Mubarak