kiya hai chaak dil tegh-e-taghaful sin tujh ankhiyon nin
nigah ke rishta o sozan sun palkan ke rafu kije
Abroo Shah Mubarak
tum yun siyah-chashm ai sajan mukhDe ke jhumkon se hue
KHurshid nin garmi giri tab to hiran kala hua
Abroo Shah Mubarak
tum nazar kyun churae jate ho
jab tumhein hum salam karte hain
Abroo Shah Mubarak
tujh husn ke bagh mein sirijan
KHurshid gul-e-dopahriya hai
Abroo Shah Mubarak
tere ruKHsara-e-simin pe mara zulf ne kunDal
liya hai azhdaha nin chhin yaro mal aashiq ka
Abroo Shah Mubarak
tera qad sarw sin KHubi mein chaDh hai
laTak sumbul seti zulfan sin baDh hai
Abroo Shah Mubarak
tera har uzw pyare KHush-numa hai uzw-e-digar sin
mizha sin KHub-tar abru o abru sin bhali ankhiyan
Abroo Shah Mubarak
tawaf-e-kaba-e-dil kar niyaz-o-KHaksari sin
wazu darkar nain kuchh is ibaadat mein tayammum ka
Abroo Shah Mubarak
sher ko mazmun seti qadr ho hai 'abru'
qafiya seti milaya qafiya to kya hua
Abroo Shah Mubarak