qad sarw chashm nargis ruKH gul dahan ghuncha
karta hun dekh tum kun sair-e-chaman mamola
Abroo Shah Mubarak
mil gaya tha bagh mein mashuq ek nak-dar sa
rang o ru mein phul ki manind saj mein KHar sa
Abroo Shah Mubarak
muflisi sin ab zamane ka raha kuchh haal nain
aasman charKHi ke jun phirta hai lekin mal nain
Abroo Shah Mubarak
namkin goya kabab hain phike sharab ke
bosa hai tujh laban ka maze-dar chaTpaTa
Abroo Shah Mubarak
phirte the dasht dasht diwane kidhar gae
we aashiqi ke hae zamane kidhar gae
Abroo Shah Mubarak
owne nin mujh diwane ke kiya siyanon ka kaam
sail sin anjhuwan ke sara shahr viran ho gaya
Abroo Shah Mubarak
sath mere tere jo dukh tha so pyare aish tha
jab sin tu bichhDa hai tab sin aish sab gham ho gaya
Abroo Shah Mubarak
mil gain aapas mein do nazren ek aalam ho gaya
jo ki hona tha so kuchh ankhiyon mein baham ho gaya
Abroo Shah Mubarak
qaul 'abru' ka tha ki na jaunga us gali
ho kar ke be-qarar dekho aaj phir gaya
Abroo Shah Mubarak

