dagh sin kyun na dil ujala ho
chashm ki raushni siyahi hai
Abroo Shah Mubarak
fani-e-ishq kun tahqiq ki hasti hai kufr
dam-ba-dam zist nen meri mujhe zunnar diya
Abroo Shah Mubarak
dur KHamosh baiTha rahta hun
is tarah haal dil ka kahta hun
Abroo Shah Mubarak
diwane dil kun mere shahr sen hargiz nahin banti
agar jangal ka jaana ho to us ki baat sab ban ja
Abroo Shah Mubarak
dilli mein dard-e-dil kun koi puchhta nahin
mujh kun qasam hai KHwaja-qutub ke mazar ki
Abroo Shah Mubarak
dildar ki gali mein mukarrar gae hain hum
ho aae hain abhi to phir aa kar gae hain hum
Abroo Shah Mubarak
dil kab aawargi ko bhula hai
KHak agar ho gaya bagula hai
Abroo Shah Mubarak
dikhai KHwab mein di thi Tuk ek munh ki jhalak hum kun
nahin taqat ankhiyon ke kholne ki ab talak hum kun
Abroo Shah Mubarak
Dar KHuda sin KHub nain ye waqt-e-qatl-e-am kun
subh kun khola na kar is zulf-e-KHun-asham kun
Abroo Shah Mubarak