aaj tak jo bhi hua us ko bhula dena hai
aaj se tai hai ki dushman ko dua dena hai
Wali Aasi
cigareten chae dhuan raat gae tak bahsen
aur koi phul sa aanchal kahin nam hota hai
Wali Aasi
gham ke rishton ko kabhi toD na dena 'wali'
gham KHayal-e-dil-e-na-shad bahut karta hai
Wali Aasi
hum haar gae tum jit gae hum ne khoya tum ne paya
in chhoTi chhoTi baaton ka hum koi KHayal nahin karte
Wali Aasi
hum KHun ki qisten to kai de chuke lekin
ai KHak-e-watan qarz ada kyun nahin hota
Wali Aasi
hamare shahr mein ab har taraf wahshat barasti hai
so ab jangal mein apna ghar banana chahte hain hum
Wali Aasi
hamein anjam bhi malum hai lekin na jaane kyun
charaghon ko hawaon se bachana chahte hain hum
Wali Aasi
hamein tere siwa is duniya mein kisi aur se kya lena-dena
hum sab ko jawab nahin dete hum sab se sawal nahin karte
Wali Aasi
is tarah roz hum ek KHat use likh dete hain
ki na kaghaz na siyahi na qalam hota hai
Wali Aasi