aap idhar aae udhar din aur iman gae
id ka chand nazar aaya to ramzan gae
Shuja Khaavar
auron se puchhiye to haqiqat pata chale
tanhai mein to zat ka irfan ho chuka
Shuja Khaavar
chaaragari ki baat kisi aur se karo
ab ho gae hain yaro purane mariz hum
talk not of cure to me my friends,nor of therapy
I am a chronic patient now, well past remedy
Shuja Khaavar
dard jaega to kuchh kuchh jaega par dekhna
chain jab jaega to sara ka sara jaega
Shuja Khaavar
dil ki baaten dusron se mat kaho luT jaoge
aaj kal izhaar ke dhandhe mein hai ghaTa bahut
Shuja Khaavar
dil mein nafrat ho to chehre pe bhi le aata hun
bas isi baat se dushman mujhe pahchan gae
Shuja Khaavar
do chaar nahin sainkaDon sher us pe kahe hain
is par bhi wo samjhe na to qadmon pe jhuken kya
Shuja Khaavar
ghar mein bechaini ho to agle safar ki sochna
phir safar nakaam ho jae to ghar ki sochna
Shuja Khaavar
hum sufiyon ka donon taraf se ziyan hua
irfan-e-zat bhi na hua raat bhi gai
Shuja Khaavar