اردو हिंदी
Sardi bhi KHatm ho gai barsat bhi gai | Shaahi Shayari
sardi bhi KHatm ho gai barsat bhi gai

Ghazal

Sardi bhi KHatm ho gai barsat bhi gai

Shuja Khaavar

;

sardi bhi KHatm ho gai barsat bhi gai
aur is ke sath garmi-e-jazbaat bhi gai

us ne meri kitab ka dibacha paDh liya
ab to kabhi kabhi ki mulaqat bhi gai

main aasman pe ja ke bhi tare na la saka
tum bhi gae udas meri baat bhi gai

hum sufiyon ka donon taraf se ziyan hua
irfan-e-zat bhi na hua raat bhi gai

milne lagi hai aam to pina bhi kam hua
qillat ke KHatm hote hi buhtat bhi gai