larazte kanpte hathon se buDha
chilam mein phir koi dukh bhar raha tha
Shariq Kaifi
pahli bar wo KHat likkha tha
jis ka jawab bhi aa sakta tha
Shariq Kaifi
nind ke waste waise bhi zaruri hai thakan
pyas bhaDkaen kisi sae ka pichha kar aaen
Shariq Kaifi
naya yun hai ki an-dekha hai sab kuchh
yahan tak raushni aati kahan thi
Shariq Kaifi
maut ne sari raat hamari nabz TaToli
aisa marne ka mahaul banaya hum ne
Shariq Kaifi
manzilon par hum milen ye tai hua
wapsi mein sath pakka kar liya
Shariq Kaifi
main kisi dusre pahlu se use kyun sochun
yun bhi achchha hai wo jaisa nazar aata hai mujhe
Shariq Kaifi
kis ehsas-e-jurm ki sab karte hain tawaqqo
ek kirdar kiya tha jis mein qatil tha main
Shariq Kaifi
kaun tha wo jis ne ye haal kiya hai mera
kis ko itni aasani se hasil tha main
Shariq Kaifi

