sab aasan hua jata hai
mushkil waqt to ab aaya hai
Shariq Kaifi
shayad use zarurat ho ab parde ki
raushniyan ghar ki maddham kar jaun main
Shariq Kaifi
tasalli ab hui kuchh dil ko mere
teri galiyon ko suna dekh aaya
Shariq Kaifi
umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe
waqt kam ho to saja deti hai bimari bhi
Shariq Kaifi
wo baat soch ke main jis ko muddaton jita
bichhaDte waqt batane ki kya zarurat thi
Shariq Kaifi
wo basti na-KHudaon ki thi lekin
mile kuchh Dubne wale wahan bhi
Shariq Kaifi
yahi kamra tha jis mein chain se hum ji rahe the
ye tanhai to itni be-murawwat ab hui hai
Shariq Kaifi
fasla rakh ke bhi kya hasil hua
aaj bhi us ka hi kahlata hun main
Shariq Kaifi
ab mujhe kaun jit sakta hai
tu mere dil ka aaKHiri Dar tha
Shariq Kaifi