aahaTen sun raha hun yaadon ki
aaj bhi apne intizar mein gum
Rasa Chughtai
aaj mauzu-e-guftugu hai hayat
ab koi aur baat kal kahna
Rasa Chughtai
aarizon ko tere kanwal kahna
itna aasan nahin ghazal kahna
Rasa Chughtai
aks-e-zulf-e-rawan nahin jata
dil se gham ka dhuan nahin jata
Rasa Chughtai
alfaz mein band hain maani
unwan-e-kitab-e-dil khula hai
Rasa Chughtai
aur kuchh yun hua ki bachchon ne
chhina-jhapTi mein toD Dala mujhe
Rasa Chughtai
arha hum pe qayamat guzri
barha hum tere dar se guzre
Rasa Chughtai
ahut dinon mein ye uqda khula ki main bhi hun
fana ki rah mein ek naqsh-e-jawedan ki tarah
Rasa Chughtai
ahut dinon se koi hadsa nahin guzra
kahin zamane ko hum yaad phir na aa jaen
Rasa Chughtai