aaega mere baad 'farogh' in ka zamana
jis daur ka main hun mere ashaar nahin hain
Rais Farogh
apne haalat se main sulh to kar lun lekin
mujh mein ru-posh jo ek shaKHs hai mar jaega
Rais Farogh
fasl tumhaari achchhi hogi jao hamare kahne se
apne ganw ki har gori ko nai chunariya la dena
Rais Farogh
husn ko husn banane mein mera hath bhi hai
aap mujh ko nazar-andaz nahin kar sakte
Rais Farogh
ek yahi duniya badalti hai 'farogh'
kaisi kaisi ajnabi duniyaon mein
Rais Farogh
ishq wo kar-e-musalsal hai ki hum apne liye
ek lamha bhi pas-andaz nahin kar sakte
Rais Farogh
log achchhe hain bahut dil mein utar jate hain
ek burai hai to bas ye hai ki mar jate hain
Rais Farogh
main ne kitne raste badle lekin har raste mein 'farogh'
ek andhera sath raha hai raushniyon ke hujum liye
Rais Farogh
mera bhi ek bap tha achchha sa ek bap
wo jis jagah pahunch ke mara tha wahin hun main
Rais Farogh