اردو हिंदी
Garm zamin par aa baiThe hain KHushk lab-e-mahrum liye | Shaahi Shayari
garm zamin par aa baiThe hain KHushk lab-e-mahrum liye

Ghazal

Garm zamin par aa baiThe hain KHushk lab-e-mahrum liye

Rais Farogh

;

garm zamin par aa baiThe hain KHushk lab-e-mahrum liye
pani ki ek bund na pai baadal baadal ghum liye

saj rahe honge nazuk paude chal rahi hogi narm hawa
tanha ghar mein baiThe baiThe soch liya aur jhum liye

aangan ki manus faza mein KHwabon ne zanjir buni
baad mein jhuk kar apne sae diwaron ne chum liye

main ne kitne raste badle lekin har raste mein 'farogh'
ek andhera sath raha hai raushniyon ke hujum liye