mujh jaisa ek aadmi mera hi hamnam
ulTa sidha wo chale mujhe kare bad-nam
Nida Fazli
kuchh tabiat hi mili thi aisi chain se jine ki surat na hui
jis ko chaha use apna na sake jo mila us se mohabbat na hui
Nida Fazli
main bhi tu bhi yatri chalti rukti rail
apne apne ganw tak sab ka sab se mel
Nida Fazli
main roya pardes mein bhiga man ka pyar
dukh ne dukh se baat ki bin chiTThi bin ta
Nida Fazli
meri ghurbat ko sharafat ka abhi nam na de
waqt badla to teri rae badal jaegi
Nida Fazli
mere badan mein khule jangalon ki miTTi hai
mujhe sambhaal ke rakhna bikhar na jaun mein
Nida Fazli
muTThi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain
juda juda hain dharm ilaqe ek si lekin zanjiren hain
Nida Fazli
naqsha le kar hath mein bachcha hai hairan
kaise dimak kha gai us ka hindostan
Nida Fazli
nainon mein tha rasta hirdai mein tha ganw
hui na puri yatra chhalni ho gae panw
Nida Fazli

