itna sach bol ki honTon ka tabassum na bujhe
raushni KHatm na kar aage andhera hoga
Nida Fazli
is andhere mein to Thokar hi ujala degi
raat jangal mein koi shama jalane se rahi
Nida Fazli
hosh walon ko KHabar kya be-KHudi kya chiz hai
ishq kije phir samajhiye zindagi kya chiz hai
Nida Fazli
har jangal ki ek kahani wo hi bhenT wahi qurbani
gungi bahri sari bheDen charwahon ki jagiren hain
Nida Fazli
har ghaDi KHud se ulajhna hai muqaddar mera
main hi kashti hun mujhi mein hai samundar mera
Nida Fazli
har ek baat ko chup-chap kyun suna jae
kabhi to hausla kar ke nahin kaha jae
Nida Fazli
har aadmi mein hote hain das bis aadmi
jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna
Nida Fazli
hamara 'mir'-ji se muttafiq hona hai na-mumkin
uThana hai jo patthar ishq ka to halka bhaari kya
Nida Fazli
ab KHushi hai na koi dard rulane wala
hum ne apna liya har rang zamane wala
Nida Fazli