safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo
sabhi hain bhiD mein tum bhi nikal sako to chalo
Nida Fazli
sab kuchh to hai kya DhunDti rahti hain nigahen
kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahin jata
Nida Fazli
sab ki puja ek si alag alag har rit
masjid jae maulwi koyal gae git
Nida Fazli
ishton ka e'tibar wafaon ka intizar
hum bhi charagh le ke hawaon mein aae hain
Nida Fazli
pahle har chiz thi apni magar ab lagta hai
apne hi ghar mein kisi dusre ghar ke hum hain
Nida Fazli
arsat ka baadal to diwana hai kya jaane
kis rah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai
Nida Fazli
dushmani lakh sahi KHatm na kije rishta
dil mile ya na mile hath milate rahiye
enmity however strong, the contact never break
hearts and minds may be apart, the hands must ever shake
Nida Fazli
duniya na jit pao to haaro na aap ko
thoDi bahut to zehn mein naraazgi rahe
Nida Fazli
duniya jise kahte hain jadu ka khilauna hai
mil jae to miTTi hai kho jae to sona hai
Nida Fazli