aankhen yun barsin pairahan bhig gaya
tere dhyan mein sara sawan bhig gaya
Musavvir Sabzwari
apne hone ka kuchh ehsas na hone se hua
KHud se milna mera ek shaKHs ke khone se hua
Musavvir Sabzwari
azabon se Tapakti ye chhaten barson chalengi
abhi se kyun makin masruf-e-matam ho gae hain
Musavvir Sabzwari
dekh wo dasht ki diwar hai sab ka maqtal
is baras jaunga main agle baras jaega tu
Musavvir Sabzwari
faisla the waqt ka phir be-asar kaise hue
sach ki peshani pe hum jhuTi KHabar kaise hue
Musavvir Sabzwari
guzarte patton ki chap hogi tumhaare sehan-e-ana ke andar
fasurda yaadon ki barishen bhi mujhe bhulane ke baad hongi
Musavvir Sabzwari
hamare bich mein ek aur shaKHs hona tha
jo laD paDe to koi bhi nahin manane ka
Musavvir Sabzwari
hisar-e-gosh-e-samaat ki dastaras mein kahan
tu wo sada jo faqat jism ko sunai de
Musavvir Sabzwari
isi umid pe jalti hain dasht dasht aanhken
kabhi to aaega umr-e-KHarab kaT ke wo
Musavvir Sabzwari