اردو हिंदी
Main munharif tha jis se harf-e-inhiraf ki tarah | Shaahi Shayari
main munharif tha jis se harf-e-inhiraf ki tarah

Ghazal

Main munharif tha jis se harf-e-inhiraf ki tarah

Musavvir Sabzwari

;

main munharif tha jis se harf-e-inhiraf ki tarah
khula wo dhire dhire bu-e-inkishaf ki tarah

ye be-samar zamin ye raegan falak ke silsile
hain mere gird kyun hisar-e-etakaf ki tarah

wo sardiyon ki dhup ki tarah ghurub ho gaya
lipaT rahi hai yaad jism se lihaf ki tarah

ye lag raha hai sab duaen mustajab ho gain
jagah jagah hai gahra aasman shigaf ki tarah

saf-e-munafiqan mein phir wo ja mila to kya ajab
hui thi sulh bhi KHamosh iKHtilaf ki tarah