ab ke wasl ka mausam yunhi bechaini mein bit gaya
us ke honTon par chahat ka phul khila bhi kitni de
Mohammad Ahmad Ramz
alfaz ki giraft se hai mawara hanuz
ek baat kah gaya wo magar kitne kaam ki
Mohammad Ahmad Ramz
aur koi duniya hai teri jis ki khoj karun
zehn mein phir ek samt bikheri rahguzar Dali
Mohammad Ahmad Ramz
harf ko lafz na kar lafz ko izhaar na de
koi taswir mukammal na bana us ke liye
Mohammad Ahmad Ramz
ek sach ki aawaz mein hain jine ke hazar aahang
lashkar ki kasrat pe na jaana baiat mat karna
Mohammad Ahmad Ramz
jaise KHala ke pas-manzar mein rang rang ke naqsh-o-nigar
baaten us ki wazn se KHali lahja bhaari-bharkam hai
Mohammad Ahmad Ramz
kaun puchhe mujh se meri gosha-giri ka sabab
kaun samjhe dar kabhi diwar kar lena mera
Mohammad Ahmad Ramz
'ramz' adhure KHwabon ki ye ghaTti baDhti chhanw
tum se dekhi jae to dekho mujh se na dekhi jae
Mohammad Ahmad Ramz
sare imkanat mein raushan sirf yahi do pahlu
ek tera aaina-KHana ek meri hairani
Mohammad Ahmad Ramz