aaina hi ko kab tain dikhlaoge jamal
bahar khaDe hain kitne aur ummid-war bhi
Meer Hasan
aabaad gar wo chahe dil ko to kar sake hai
manzur hai par is ko mera KHarab rakhna
Meer Hasan
aah kya shikwa karun main hath se us ke hina
jab hui mere lahu ki rang tab dhone laga
Meer Hasan
aah tazim ko uThti hai mere sine se
dil pe jab us ki nigahon ke KHadang aate hain
Meer Hasan
aasan na samajhiyo tum naKHwat se pak hona
ek umr kho ke hum ne sikha hai KHak hona
Meer Hasan
aashna bewafa nahin hota
bewafa aashna nahin hota
Meer Hasan
ab jo chhuTe bhi hum qafas se to kya
ho chuki wan bahaar hi aaKHi
Meer Hasan
apne kahne mein to dil mutlaq nahin kis se kahen
kya karen ai naseho kuchh to karo irshad tum
Meer Hasan
asar howe na howe par bala se ji to bahlega
nikala shaghl tanhai mein main na-chaar rone ka
Meer Hasan