naqe se dur rah gaya aaKHir na qais tu
kahte na the ki panw se mat khinch KHar ko
Meer Hasan
nasehon ke hath se chhoDenge rahna shahr ka
dekhte hain aur din do-chaar ab banti nahin
Meer Hasan
nau-giraftari ke bais muztarib sayyaad hun
lagte lagte ji qafas mein bhi mera lag jaega
Meer Hasan
naujawani ki did kar lije
apne mausam ki id kar lije
Meer Hasan
nazar aane se rah gaya az-bas
chha gaya intizar aankhon mein
Meer Hasan
qismat ne dur aisa hi phenka hamein ki hum
phir jite-ji pahunch na sake apne yar tak
Meer Hasan
akhkhun kahan main apne pari-zad ko 'hasan'
shisha jo ek dil ka mere hai so chur hai
Meer Hasan
sada aish dauran dikhata nahin
gaya waqt phir hath aata nahin
Meer Hasan
sar ko na phenk apne falak par ghurur se
tu KHak se bana hai tera ghar zamin hai
Meer Hasan