aankhon aankhon mein pila di mere saqi ne mujhe
KHauf-e-zillat hai na andesha-e-ruswai hai
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
aaya unhen pasand to un ka hi ho gaya
kam tha hamare dil se hamara kalam kya
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
chhupe hain sat pardon mein ye sab kahne ki baaten hain
unhen meri nigahon ne jahan DhunDa wahan nikle
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
dil us ka jigar us ka hai jaan us ki hum us ke
kis baat se inkar kiya jae kisi ko
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
dozaKH se bhi KHarab kahun main bahisht ko
do-chaar agar wahan pe bhi sarmaya-dar hon
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
ek aansu bhi agar ro de to jaanun tujh ko
meri taqdir mujhe dekh kar hansti kya hai
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
farishta har bashar ko har zamin ko aasman samjhe
ki hum to ishq mein duniya ko hi jannat-nishan samjhe
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
hai fahm us ka jo har insan ke dil ki zaban samjhe
suKHan wo hai jise har shaKHs apna hi bayan samjhe
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
hum ru-ba-ru-e-shama hain is intizar mein
kuchh jaan paron mein aae to uD kar nisar hon
Jitendra Mohan Sinha Rahbar