na hum se ishq ka mafhum puchho
ye lafz apne maani se baDa hai
Humaira Rahat
zikr sunti hun ujale ka bahut
us se kahna ki mere ghar aae
Humaira Rahat
ye kis ki yaad ki barish mein bhigta hai badan
ye kaisa phul sar-e-shaKH-e-jaan khila hua hai
Humaira Rahat
wo mujh ko aazmata hi raha hai zindagi bhar
magar ye dil ab us ko aazmana chahta hai
Humaira Rahat
wo ishq ko kis tarah samajh paega jis ne
sahra se gale milte samundar nahin dekha
Humaira Rahat
wo aur the ki jo na-KHush the do jahan le kar
hamare pas to bas ek jahan tha na raha
Humaira Rahat
use bhi zindagi karni paDegi 'mir' jaisi
suKHan se gar koi rishta nibhana chahta hai
Humaira Rahat
talluq ki nai ek rasm ab ijad karna hai
na us ko bhulna hai aur na us ko yaad karna hai
Humaira Rahat
suna hai KHwab mukammal kabhi nahin hote
suna hai ishq KHata hai so kar ke dekhte hain
Humaira Rahat

