ahut taKHir se paya hai KHud ko
main apne sabr ka phal ho gai hun
Humaira Rahat
mere dil ke akele ghar mein 'rahat'
udasi jaane kab se rah rahi hai
Humaira Rahat
KHushi meri gawara thi na qismat ko na duniya ko
so main kuchh gham bara-e-KHatir-e-ahbab uTha lai
Humaira Rahat
kabhi kabhi to juda be-sabab bhi hote hain
sada zamane ki taqsir thoDi hoti hai
Humaira Rahat
jo manzil tak ja ke aur kahin muD jae
tum aise raste ke dukh se na-waqif ho
Humaira Rahat
jahan ek shaKHs bhi milta nahin hai chahne se
wahan ye dil hatheli par zamana chahta hai
Humaira Rahat
huzur aap koi faisla karen to sahi
hain sar jhuke hue darbar bhi laga hua hai
Humaira Rahat
guzar jaegi sari raat is mein
mera qissa kahani se baDa hai
Humaira Rahat
ana kar ek ghar dil ki zamin par us ki yaadon ka
kabhi aabaad karna hai kabhi barbaad karna hai
Humaira Rahat