partaw-e-husn hun is waste mahdud hun main
husn ho jaun to duniya mein sama bhi na sakun
Heera Lal Falak Dehlvi
maqam-e-barq jise aasman bhi kahte hain
irada ab hai wahan apna ghar banane ka
Heera Lal Falak Dehlvi
mera KHat paDh liya us ne magar ye to bata qasid
nazar aai jabin par bund bhi koi pasine ki
Heera Lal Falak Dehlvi
nazron mein husn dil mein tumhaara KHayal hai
itne qarib ho ki tasawwur muhaal hai
Heera Lal Falak Dehlvi
niyyat agar KHarab hui hai huzur ki
ghaD lo koi kahani hamare qusur ki
Heera Lal Falak Dehlvi
pahuncho gar ek chand par sau aur aate hain nazar
aasman jaane hai kitni dur tak phaila hua
Heera Lal Falak Dehlvi
tan ko miTTi nafas ko hawa le gai
maut ko kya mila maut kya le gai
Heera Lal Falak Dehlvi
yaad itna hai mere lab pe fughan aai thi
phir KHuda jaane kahan dil ki ye aawaz gai
Heera Lal Falak Dehlvi
wusat tilism-KHana-e-alam ki kya kahun
thak thak gai nigah tamashe na kam hue
Heera Lal Falak Dehlvi

