main tera jalwa tu mera dil hai mere ham-nashin
main teri mahfil mein hun aur tu meri mahfil mein hai
Heera Lal Falak Dehlvi
ab kahe jao fasane meri gharqabi ke
mauj-e-tufan ko mere haq mein tha sahil hona
Heera Lal Falak Dehlvi
log andaza lagaenge amal se mere
main hun kaisa mere mathe pe ye tahrir nahin
Heera Lal Falak Dehlvi
kya baat hai nazron se andhera nahin jata
kuchh baat na kar li ho shab-e-gham ne sahar se
Heera Lal Falak Dehlvi
hum to manzil ke talabgar the lekin manzil
aage baDhti hai gai rahguzar ki surat
Heera Lal Falak Dehlvi
haal bimar ka puchho to shifa milti hai
yani ek kalma-e-pursish bhi dawa hota hai
Heera Lal Falak Dehlvi
dekhunga kis qadar teri rahmat mein josh hai
parwardigar mujh ko gunahon ka hosh hai
i will see to what extent your mercy is sublime
my lord I am aware of the nature of my crime
Heera Lal Falak Dehlvi
charag-e-ilm raushan-dil hai tera
andhera kar diya hai raushni ne
Heera Lal Falak Dehlvi
apna ghar phir apna ghar hai apne ghar ki baat kya
ghair ke gulshan se sau darja bhala apna qafas
Heera Lal Falak Dehlvi