aankhon se isi tarah agar sail rawan hai
duniya mein koi ghar na raha hai na rahega
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
aazurda kuchh hain shayad warna huzur mujh se
kyun munh phula raha hai wo gul-ezar apna
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
abas ghar se apne nikale hai tu
bhala hum tujhe chhoD kar jaenge
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
ada ko teri mera ji jaanta hai
harif apna har koi pahchanta hai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
ai bahr na tu itna umanD chal mere aage
ro ro ke Duba dunga kabhi aa gai gar mauj
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
aur rabt jise kufr se hai yani barahman
kahta hai ki hargiz mera zunnar na TuTe
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
ahaar is dhum se aai gai ummid jine ki
gareban phaT chuka kui dam mein ab naubat hi sine ki
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
dekhna zor hi ganTha hai dil-e-yar se dil
sang-o-shishe ko kiya hai main hunar se paiwand
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
din o duniya ka jo nahin paband
wo faraghat tamam rakhta hai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi