aaj us ne hans ke yun puchha mizaj
umr bhar ke ranj-o-gham yaad aa gae
Ehsan Danish
aur kuchh der sitaro Thahro
us ka wada hai zarur aaega
Ehsan Danish
a-juz us ke 'ehsan' ko kya samajhiye
bahaaron mein khoya hua ek sharabi
Ehsan Danish
ala se kuchh ho hum 'ehsan' apni KHu na chhoDenge
hamesha be-wafaon se milenge ba-wafa ho ka
Ehsan Danish
damak raha hai jo nas nas ki tishnagi se badan
is aag ko na tera pairahan chhupaega
Ehsan Danish
dil ki shaguftagi ke sath rahat-e-mai-kada gai
fursat-e-mai-kashi to hai hasrat-e-mai-kashi nahin
Ehsan Danish
'ehsan' aisa talKH jawab-e-wafa mila
hum is ke baad phir koi arman na kar sake
I, to my troth, such a bitter response did obtain
after that I could never hope to hope again
Ehsan Danish
'ehsan' apna koi bure waqt ka nahin
ahbab bewafa hain KHuda be-niyaz hai
Ehsan Danish
fusun-e-sher se hum us mah-e-gurezan ko
KHalaon se sar-e-kaghaz utar lae hain
Ehsan Danish